Love | Pyar | Emotion | Feeling | Love Shyari | Love Quote

Love | Pyar | Love Shayri

↑

Wednesday, March 31, 2010

BHOOL HAMARI MAAF BHI KARDO



Khoobsorat hoti hey udaasi bhi
khushi mein chuppi hoti hey ghami bhi
labon per hoti hey hansi kabhi
tu kabhi ankhon mein nami bhi

tanha rehna bhi accha lagta hey
magar mehsoos hoti hey kissi ki kami bhi

shokh wa chanchal tu hey hi woh zaalim
bankpan mein uske hey saadgi bhi

saaz bhi ho jatey hein khamosh kabhi
kabhi gungunati hey khamshi bhi

uske hussan ka charcha hey char soo
shaamil hey uske madahon mein Zafri bhi

No comments:

Post a Comment