Love | Pyar | Emotion | Feeling | Love Shyari | Love Quote

Love | Pyar | Love Shayri

↑

Wednesday, April 21, 2010

Zindagi ki dua

Zindagi ki dua mat de e-dost,
Zindagi kisko raas aayi hai
Tum insano ki baat karte ho,
Hamne khud se chot khayi hai."

Zindagi ka shayad yahi matlab hai,
Kabhi kuchh pane ki chah mein,
To kabhi kuchh khone ke dar mein,
Insaan rehta hai hamesha paeshan.

Shayad sach hi kaha hai kisi ne
Ki apne dil ki baat kisi ko nahi bolni chahiye.
Bolo bhi to wo apne hisaab se hi matlab nikalta hai
Uska. kitna asaan hai pyar karna,
lekin waqt ke badalne me kitni der lagti
hai.

Insaan khush rehne ki kitni koshish karta hai.
Har woqt yahi koshish ki wo kaise khush rahega..

Par shayad zindagi apni kismat lekar khud aati hai..
Yahan hamare karne ke liye kuchh bhi nahi hota.

Bus ek kathputli ki tarah nachna hota hai.
Har cheez pehle se nirdharit hoti hai.
Fir bhi, hum log kitne betaab rehte hai
Ki qya hoga ? itni utsukta hoti hai
Ki jaise haath main ho sabkuchh hamare.

Har kisi se kuchh na kuchh ummeed lekar jeeta hai
Insaan aur unke toot jane se dukhi bhi hota.
Insaan, ye bhi janta hai ki uski ummeed toot sakti hai,
Fir bhi ek ummeed hi hai shayad jo humko jeene ki taaqat deti hai.
Waise bhi in jhuthi ummeedon ke bina
Zindagi shayad zindagi nahin.

Ashish Pratap Singh Rathore

Monday, April 12, 2010

LOVELY FLOWERS




























Aur hum haar gaye mohbbat ke imtihan me..

Samander me doob gaye kinaro ki talash me,
Mohbbat pani bhi chahi to isharo ki talash me.

Jab ishara mila unse bewafae ka to,
Kadam apne aap chal diye maut ki talash me.

Chhod ke gaye vo hame ese halat me,
Dil roya bahut ho jese barsat me.

Kisi ko bhi pukarun me ab kya fayada,
Unka hi naam aata hai hamari awaaj me.

Poori duniya roti hai uski bewafae par,
Par unhone to iljam lagaya hamari wafae par.

Tut chukka hai dil tanhaeyan hai charon aur,
Kese jiya jaye sanam bewafaa ke iljam me.

Bahut ho chukka ishq-mohbbat ka khel,
Ab jeene do hame unki judae me.

Bura tha mein aur buri thi meri mohbbat,
Ab jeene do hame isi burae me.

Vo ishq ki har baji jeet gaye hamse,
Aur hum haar gaye mohbbat ke imtihan me.

Rabb kare sade

Rabbkare sade yaar muskraunde rehen,
Sohnia nu tarpaunde rehen,
Yara nal mehfila v launde rehan,
Kuri na fase koi gal ni, customer care nal kam chalaunde rehan.

Ishq ke sahare jiya nahi karte,
Gum ke pyalo ko piya nahi karte,
Kuchh Nawab dost hain hamare,
jinko Pareshan na karo to wo yaad hi kiya nahi karte...

Kanjoos ki zindagi kya jeena, kabhi humari tarah bhi jiya karo,
Roz mere sms padh kar sharam nahi aati, kabhi khud bhi SMS kiya karo.

Aap khubsurat hain itne, ke har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai, hum nacheez to kahan kisi ke kaabil, aur aapka to khuda bhi diwana hai. Good Morning.

Rabba mere kanjar Dost nu suneha pahucha dayi,
Ohde dil ch khayal mera pa dayi,
Mast hoya houga kise kudi de supnia ch,
Os kamine nu sadi vi yad dawa dayi.

Ae kalam ruk ruk ke chal ek adab ka mukaam hai,
teri nok ke neeche mere mehboob ka naam hai.

Wife: Main tumhari yaad mein 15 din mein hi aadhi ho gayi hun, mujhe lene kab aa rahe ho?
Husband: 15 din aur ruk jao...

Na moh na maya hai; Aalas tumhi ko aaya hai; Humein bhi msg kar k dekh lo; Nokia/Motorola/ Sony ne ye mobile sirf tumhari GIRLFRIEND k liye nahi banaya hai.

Yaad hum bhi aapko karte hai, yaad aap bhi hame karte hai,
fark itna hai hum yaad ane par sms karte hai aur aap sms ane par yaad karte hai.

Raaz dil ka dil mein chupate hai woh, samne aate hi nazar jhukate hai woh,
Baat karte nahi, ya hoti nahi, par shukar hai jab bhi milte hai muskurate hai woh.

Meri ZINDGI ko 1 TAMASHA bana dia USNE .....!!



Meri ZINDGI ko 1 TAMASHA bana dia USNE,
Bhari MEHFIL men TANHA bitha dia USNE
Aisi kia thi NAFRAT us ko is masoom DIL se
Khushian CHURA kr GAM thama dia USNE
Bohat NAAZ tha us ki WAFA pe kabi
Mujh ko hi meri NAZRON me GIRA dia USNE
Khud BEWAFA tha meri WAFA ki kia QADR krta
ANMOL tha main "KHAK" me MILA dia USNE
Kisi ko YAAD krna to us ki FITRAT me SHAMIL nhi
HAWA ka jhonka samjh kar muj KO BHULA dia "USNE"

Tarasti Hai Meri Aankhai .......!!


Tarasti Hai Meri Aankhai,
Aapke Chahre Par Hasi Dekhne Ke Liye..!

Taraste Mere Honth,
Aapke Labo Ko Chune K Liye..!

Tarasti Hai Meri Suni Bahai,
Aapki Baho Ke Liye..!

Tarasti Hai Meri Sanse,
Aapki Sanso Ke Milen Ke Liye..!

Taraste Hai Ye Badal,
Hum Dono Ko Bhigone K Liye..!

Tarasti Hai Ye Hawa,
Hamari Ruh Ko Ek Karne K Liye..!

Tarasti Hai Meri Ye Aawaj,
Tera Naam In Vadiyon Me Gujaane K Liye..!

Tarasti Hai Meri Jaan,
Sirf Aap Ko Paane Ke Liye..!!!!

Aapki Yaad Phir Aaj Aane Lagi........ .!!

Aapki Yaad Phir Aaj Aane Lagi..
Aankh Phir Aasoowon Ko Chupane Lagi

Aapka Naam Leker Hamesha Yahaa
Mehal Apne Ye Duniya Banane Lagi

Muflisii ka Yahaa Aaj Ye Haal Hai
Jho Hai Oda Usii Ko Bichane Lagi

Hum Fakiron Ka Jane Makaddar Hai Kya
Her Kadam Mushkile Ser Utane Lagi

Aadmi Ki Garaz Bad Gayee Yu Ki Ab
Aadmiyath Jahaa Se Mitane Lagi

Aasmaa Ab Kare Kuch Tho Mumkin Ho
Ye Zamee Haath Khali Dikhane Lagi

Bair Duniya Ko Na Jane Kya Mujhse Hai
Meri Aankhon Se Sapne Churane Lagi

Tab "roja" Ko Aaker Laghe Poochne
Saans Jab Usse Dhaman Churane Lagi..

Saturday, April 10, 2010

Labon ko.... labon pe......sajaao

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

fun12

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao
Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

fun12

Tod do, khud ko, tum
Baahon mein meri, baahon mein meri, baahon mein meri, baahon mein
Baahon mein meri, baahon mein meri, baahon mein meri, baahon mein

fun12

Tere ehsaason mein, bheege lamhaaton mein
Mujhko doobati, tishnagi si hai
Teri adaayon se, dilkash khataao se
In lamho mein, zindagi si hai
Haya ko jara, bhool jaao

fun12

Meri hi tarah, pesh aao
Kho bhi do, khud ko, tum
Raaton mein meri, raaton mein meri, raaton mein meri, raaton mein

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

fun12

Tere jasbaaton mein, mehaki si saanso mein
Ye jo mehek, sandili si hai
Dil ki panaaho mein, bikhari si aaho mein
Sone ki khaaish, jagi si hai

fun12

Sine ki dhadkan sunaao
Dekh lo, khud ko, tum
Aankhon mein meri, aankhon mein meri, aankhon mein meri, aankhon mein

fun12

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

fun12

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

fun12

Labon ko, labon pe, sajaao
Kya ho tum, mujhe ab, bataao

Mujhe dard e ishq ka


tu to chala gaya per teri yaado ka karwa baaki hai,
mere jakhmo me dard ka wahi silsila baaki hai,

teri phli mulakat se aakhiri mulakat tk ka
her moke ka ,her safar ka , dil me utha dene wala jaljala baaki hai,

maine bahut koshis ki tere axs ko mila daalu apne jahan se,
per meri saanso ke saath tera rista abhi baaki hai.

Mujhe dard e ishq ka mazaa maloom hai,
Dard e dil ki inteha maloom hai,
Zindagi bhar muskurane ki dua naa dena,
Mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai

Khod ko bhula diya hum ne



Kuch din pehle mohabbat ko sapna samjha hum ne
Muhabbat hue mohabbat ko apna samjha hum ne
Mohabbat main iskadar madhosh ho Gaye
Is ki bewafai ko wafa samjha hum ne?
Zakham iskadar mohabbat ne diye
In zakhmo ko phool samjha hum ne
Mohabbat ki chiikh-o-pukaar iskadar thi
Ke ass pass ke logo ki roone ko hasna samjha hum ne
Mohabbat ki shidat main aankhen iskadar chandiya Gaye
Har chamakti chiz ko sona samjha hum ne
Dewaana iskadar mohabbat ne bannaya humko
Ke apno ko begana samjha hum ne
Mohabbat ki yaadein dil par kuch you naksh kar Gaye.
Ke on ko bhulane ki khoshish main
Khod ko bhula diya hum ne

Wednesday, April 7, 2010

THE SOMEDAY TO BE HAPPY IS TODAY......! !

fun12

Live your dreams

A little each day.

They aren't out of reach

Unless you fail to reach out.

Put off unimportant things

But don't put off living.

Other things can wait,

Your happiness can't,

If your life is to have purpose and meaning.

The someday to be happy is today.


Choose how to live your life.

Life isn't decided for us

But by us.

Every action is a decision with consequences.

Choose wisely!

The reward should always

Be greater than the price.


Take time to play, but also to think.

Life can't mean much without much thought.

To be where you want to be

Ask yourself questions, then take action.

So often we go with the flow

And become lost.

Don't be led; be the leader of your life.


Stop waiting for happiness to happen

and get busy making it happen.

Work with what you have

And what you have will increase.

If one door is closed, open another;

Happiness often comes unexpected.

Watch what you aim for

Because your heart will follow.

Aim nowhere and you'll go nowhere.

Aim high enough and you may touch the stars.

Aim to be happy

And you will do much more than just pass through life,

You'll live it to the fullest

A very beautiful poem on today's fast life.

" WAQT NAHI "

Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.

Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.

Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.

Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,

Jeene Ke Liye Bhi Waqt Nahi........ ..

Forever Love...... I call 2u ........!!


love, I call to you
You are my heart, forever true
As I wait here in the park
I see lovers caress each others heart

Forever love, in my mind I hold you near
I know you are forever dear
Love this strong can never die
In my soul, I see you lie

Forever love, come what may
I look for you to walk the path
In the park, where all thing beautiful will last

I see the grass so green
The water in the little stream
How the birds fly into the sun
And a butterfly, in my lap
All this wonder, for us, will never pass

Forever love, I call your name
My voice is full of passion,
You could never change
I see you run into my arms
I rest my head on your dear chest
Forever love, I know you are real
Our life begins, there is only you

LOVE Picture | Love Photo







Mohabbat karke dekho to.


Mohabbat karke dekho to,
Mohabbat kya nahi karti,
Mohabbat khud bhi hoti hai,
Mohabbat khud hojaati hai,
Mohabbat khud banati hai,
Mohabbat khud bhi banti hai,
Mohabbat khud bhi andhi hai,
Mohabbat andha karti hai,
Mohabbat jhuk bhi sakti hai,
Mohabbat jhuka bhi deti hai,
Mohabbat khud bhi nafrat hai,
Mohabbat Pyaar bhi karti hai,
Mohabbat Pyaar hai Dil ka,
Mohabbat esaar bhi karti hai,
Mohabbat kaam hai dukh ka,
Mohabbat naam hai sukh hai,
Mohabbat naam hai is ka,
Mohabbat is hi ko kehte hain..!
Mohabbat karke dekho to,
Mohabbat kya nahi karti..!.!!. !!!!