An Dekhe Rasto Par !
Chal Rahain Hain
Na Jane Manzil Kahan Hai?
Na Jane Konsa Hai Safar ?
Har Duwa Hai Be Aasar
Jo Na Mil Saka
Jo Na Mile Kabhi !!
Na Jane Q Oss Ki Talash Hai
Na Jane Kon Mere Pass hai
Mere Sath Hai
Meri Piyas Hai
Meri Zindagi Ki Bahar Hai
Ke Raston Ki Mosafaton Ne
Thaka Diya Hai Q Mujhe
Mujhe Intezar Hai Ab Bhi
Inhe Raston Par Mile Kabhi
Manzil Jis Ki Talash Hai
Woh Meri Zindagi Hai
Apni Duwa Mein Yaad Rakna
Dil Mera Le Kar Yeh Zalim Ne Kaha
Jaao Rasta Lo Tumhara Kuch Nahi
Na Jane Oss Par Itna Yakeen Q Hai
Oss Ka Khayal Itna Haseen Q Hai
Suona Hai !
Mohabat Ka Dard Bara Meeta Hota Hai
Tu Phir
Aankon Se Nikla Ansoo Numkeen Q Hai
No comments:
Post a Comment